Wastay Hazrat Murad e naik naam     Ishq apna day mujhe rab al-inaam     Apni ulfat se aata kar soaz o saaz     Apne arfaan ke sikha raaz o niaz      Fazal e Rehman fazl tera har ghari darkaar hai     Fazal e Rehman fazl tera ho to bera paar hai

 

 

Hazrat Muhammad Murad Ali Khan Rahmatullah Alayh

 

 

Hazrat Muhammad Arif Riogri

 

Rahmatullah Alayh

 

Muhadseen, fuqha, o ulama ke hawala se zarkhaiz  zameen Bukhara ko yeh sharf  bhi haasil hai kay wahan naamwar mashaiakh e tareqat aulia Allah ka mold o madfan bhi hai. Aisay hi mashaiakh mein se tareeqa Alia naqshbandia  ke azeem Sheikh Hazrat Mohammad Arif Riogri  Rahmatullah Alayh bhi aik kaamil o Akmal walii hain. Jin ki wiladat Bukhara se athaara (18) meel ke faaslay par Riogr nami qasba mein 27 Rajab 551 Hjri bmtabq 15 September 1156 Eswsi ko hui .

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

Is zamana mein Riogr se 3 Meel ke faaslay par Gajdwan Nami qasba mein Khwaja Khwajgan Hazrat Abdul Khalq Rahmatullah Alayh hrehtay thay, jin ke Fayooz o Barkaat ka Shuhrah door door tak phela howa tha. Hazrat Mohammad Arif Riogri  Rahmatullah bhi unki khidmat mein haazir hokar baet hue. Kehte hain kay baet honay ke baad bas aap apne Sheikh ke hokar reh gaye aur tamam Umar apne Sheikh ki sohbat o khidmat mein aur tasawuf o tareqat mein kamaal darja ko puhanche .

Shariat o sunnat ki pabandi, Zuhad o taqwa ke sath sath Rushd o hadaayat mein bhi buland maqam rakhtay thay. Yahi wajah hai kay Khwaja Khwajgan Hazrat Abdul Khalq Rahmatullah Alayh  ke baad aap unkay janasheen hue aur kaseer tadaad mein log aap se faizyab hue. Tasawuf ke mauzo par ”Arif Nama nami aap ka aik risala khanqah Mosa Zai shareef ki library mein mojood hai .

Yakam shawaal almkrm 616 Hjri ko aap is daar faani se rukhsat hue. Anaa lillah wana ilaihi rajiun. Aap ka mazaar Riogr mein ziyarat gaah khaas o aam hai .